Friday 20 May 2011

Ye duniya...

Bhag rahi hai ye duniya apni manzil ko pane mein..
Din rat karte hai mehnat apne jahan ko sundar banane mein..
Na jane kyu mujhe lagta hai aisa, khogaye hai sbhi kahin is bhed chal mein.. 

Roti kapda aur makan isi ki purti karte hojate hai behal..
Paise k lalach mein hai sb aj...
Apni asli manzil aur khushi shyad bhula chuke hai aj...
Na jane kaha bhatak rahe hai kuch pane mein...
Bas ab yahi lagta hai rakha kuch nahi is zamane mein...

Zindagi har mod pe naye rang dikhlati h...
Na jane aj bhi kyu ye duniya hi paise k piche nachati h..

Bachpan se le k aj tak hai bas isi daud me..
Bandh lete h hum khudko in bediyo me kuch aise..
Khushi milti nai, bas bhulate hai apne gum... kho k botalo me kahin..

Jena pata nai kya hota hai, sas lena jarur sikh chuke hai hum..
Na jane kyu ye duniya ki bhid me khud se alag ho gaye hai hum..

1 comment:

Anonymous said...

sentimental
acchi poem hain
tu to shandar likhta hain yaar