Wednesday 20 April 2011

Kya khoya kya paya... Mera nazariya...

Liya tha janam is duniya me jb humne, hath the hamare khali...
Us pal na samjhte the shabd, na thi koi dukho ki pyali...
Ma bap se  mila pyar, bua ka mila dular...
Ban gaye hum unki ankho ka tara, jeevan tha bahut pyara pyara...
Ladte the hum khel khel me, pate the ankho se aasu hum haste haste...
Jeete the duniya, bas pate the pyar hi pyar...
Aur pate the thodi daat...
Kya ab bhi puchte ho mujhse ye sawal maine kya khoya kya paya...

Thode hue hum bade, sikhne lage duniya k tor tarike...
Fir mili dosti, aur bane kai naye rishtey...
Jeene lage hum apni zindagi, mili kai khusiya aur kai gum...
Sikhi humne baatien kai nai, aur age badhte rahe pane apni manzilen nai...
Jb humari shadi hui, pai humne khushiya kai dher sari...
Mili ek sathi, jinke sath likhi humne ek kahani nai...
Zindagi ki tez gadi, chalana tha mushkil par humne apni naiya par lagai...
Kuch bado ko is duniya se jate dekha, yaha bahut gum paya...
Dekha kai gajah insaniyat ko harte, ladte marte ek dusre ko kat-te...
Dil ho gaya bahibeet, yaha se bhi maine bahut kuch paya...
Kya ab bhi rakhte ho man me ye vichar maine kya khoya aur kya paya...

Mera toh kehna hai yahi, pate hai pate hai hum is duniya me sabhi...
Jeewan me hota hai sb kuch acha... chahe ho wo gum, ya ho khusiya...

Aj apne vicharo ko halato k pare bun k dekho...
Aj ek nai tarah se soch k dekho...
Fir darpan se puchna yahi tumhara sawal...
Kya maine sach me kuch khoya hai, ya aj tak bas paya hi paya...

Thursday 14 April 2011

Pyar hai kya...

Pyar hai kya mai shabdo mein bayan nahi kar sakta...
Bas itna janta hu, unke bina reh nahi sakta...
Chin gai hai meri need, lut gaya hai mera chain...
Pyar mein jo sukun milta hai wo shabdo me bandh nahi sakta...

Chizo ko jaan se badhkar chahta tha mai, darta tha kahin kho na du inhe,
Jb se wo ayi hai mere jeevan me, sikh raha hu matlab pyar ke...

Dua karta hu unki salamati ki mai, nahi chahta mile koi chintaye unhe...
Unko khushi me mera sansar basta hai, unki hasi me mera dil dhadakta hai...
Agr wo na bhi milen toh bhi koi gum nahi, wo hamesha khush rahe yahi dua rahe gi hamari...

Pyar me koi khota nahi hai, pyar me bas insan pata hi pata hai...
Tumhe kaise samjhau dost, mai koi kavi nahi, na hi koi shayar...
Mere shabdo ka shyad koi mol nahi, fir bhi aj yahi likhta hu...
Mai unse bahut bahut sara pyar karta hu...

Friday 8 April 2011

Purane Wo Din...

Din the wo masti bhare, rehhte the hum bina kisi chintayo ke...
Jeete the har pal, sochte nahi the kya hoga kal...
Milti thi nai raheen har din, choote the assman har din...

The hum bhole bachoo jaise, the hum nadan...
Nahi jante the, duniya ne kya rakha hai samet k koi raj anjaan...

Fir ek din aya, jb bichad gaye hum u...
Na mili aisi koi khushi, kho gaye hum sabhi...
Fir na rahi wo baatein, fir na rahe wo din...
Kehte kya... lut gaya tha hamara ye bachpan...
Bhagne lage hum, duniya ki rah me...

Na wapas mud k dekhne ka samay mila, na mili koi ijazat...
Hum reh gaye banke bs kuch muthi bhar kagaz...

Aisa lagta hai aj jaise mil gaye hai mujhe fir wo din...
Wahi nadani ke pal, wahi zindagi jeene k pal...

Aj fir hum hai khush, fir sath chal rahe hai hum...
Udasi ka andhera ab yaha nahi, aur alvida keh gaye sare gum...

Saturday 2 April 2011

Dil ka bachpan...

Khushi mil gai hai mujhe, zindagi milgai h mujhe...
Ek nai rah nai h aj, Ek nai subha h aj...
Kagajo ki kashtiya behjati hai pani ki baho me, ithlate machalte par kar jati hai har patthar har chattan...
Ek muskan de jati hai chere pe, yad dila deti hai din bachpan ke...
Hum nahi jante hamare dil me hai kya, hum nahi jante aansu hai kya..
Pyare pyare dosto se ghira hai mera ye jahan...
Dil hai aj mera khush, jaise mil gaya hai mujhe ye pura aasman...