Monday 16 May 2011

Ek lamba intezar...

Kal jaisa tha ye aasma aj b kuch alag nai..
Log h vaise h naya kuch b nai..
Badle na chand, sitare na hi badli wo dhup ki kiran...
Ga rahi hai koyal, aur khush lag rahe hai sabhi...

Par ras na ata hai mujhe aj kuch bhi,
jaise chin li hai mujhse kisi ne meri zindagi...

Wo pas hai mere dil me, bs nazar k samne nahi...
Wo meri sasson me basti hai, mujhme zinda rehkar hamesha se hi...

Kya kahu usse yad unhe bhi ati hai meri...
Nahi chahta koi aasu unke ashko me, meri zingadi hai wahi...

Chalte chalte pahuch jana chahta hu meri jaan k pas,
Jee bhar k dekh lena chahta hu, hazaro saasen unke sang lena chahta hu...
Lekin likha hai bs intezaar, meri kitab me...
Ras na ata mujhe yaha kuch b, bas dooba rehna chahta hu unki yad me aise hi...

1 comment:

Anonymous said...

nice one
intejaar ka fal meetha hota hain