Wednesday 18 March 2015

Jaana hoga ab...

Chale hum karne ek nai shuruvaat,
Chale hum hasli karne ek naya makam...

Bs yahi le k chale hai vishwas,
Naam kamayenge aur banenege mahaan...

Karenge kuch ab naya... Karenge ab kuch anokha..
Pahuchnge sitaro tak, likhenge naya keertiman...

Ye sab soch mai bht khush hota hu,
Lekin na jane kyu man k kisi kone meein sankoch liye baitha hu...

Yahi ruk ja, bs yahi kehta hai mera man..
Aur chinta k sagar mein duba deta hai mera man...

Mehsus hogi waha tujhe dosto ki kami,
Na milenge waha thahako bhari hasi...


Zindagi ka ek ansh yahi reh jayega,
Na kushi milegi Na sukun mil payega,
Zindagi ka asli dhan yahi reh jayega..

Ye soch mein ghabra jata hu,
Lekin ab kuch bhi karlu aab na ruk pau,
bita hua waqt ab nahi lauta...
Pithhar ki lakir sa ab nahi mitta..

Ye mera faisla na jane kaha mujhe le jayega,
ab ek naya path padhayega..

Oh mere mitro, mujhe yad rakhna...
Dur ho k bhi rahunga sath...

Na bhulunga tumhe, na wo pal sath btaye tumhare..

Kabhi kisi roz, laut aaunga yahi...
Ab nahi ruk paunga.. Jaana hoga ab....






No comments: